mili hawaaon men urhne ki wo sazaa yaaro
ke men zameen ke rishton se cut gya yaaro
wo bekhayaal musafir, men raasta yaaro
kahan tha bus men mere, us ko rokna yaaro....!
ke men zameen ke rishton se cut gya yaaro
wo bekhayaal musafir, men raasta yaaro
kahan tha bus men mere, us ko rokna yaaro....!
On Tue, Sep 13, 2011 at 11:06 AM, W@sF- <amourlibra@gmail.com> wrote:
Tere jesa mera bhi haal tha na sukoon tha na qaraar tha
Yehi umr thi mere hamnasheen k kisi se mujh ko bhi pyar tha
Men samajh raha hoon teri kasak, tera mera dard he mushtarak
Issi gham ka too bhi aseer he issi gham ka men bhi shikaar tha
Faqat ek dhunn thi k raat din usi khwabzaar men gum rahen
Wo saraapa esa suroor tha wo khumaar esa khumaar tha
Kabhi lamhe bhar ki bhi guftgoo meri us ke saath na ho saki
Mujhe fursaten nahi mil sakeen wo hawa k rakht pe sawaar tha
Hum ajeeb tarz k log the k hamaare aur bhi rog the
Men khizaan men uska tha muntazar usse intizar-e-bahaar tha
Usse parh k tum na samjh sake k meri kitaab ke roop men
Koi qarz tha kaei saal ka kaei ratjagon ka udhaar tha
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment