Friday, September 9, 2011

Re: (Attock VU Group) Poetry Corner----

Suno! tum yaad mat karna
Agar hum mar bhi jain tu
Dil-e nashaad ko phir sey
Na tum bar baad ab karna
Humain tum yaad mat karna
Ke ye yaadain tu jism-o roh ka
Nasoor hoti hain
Humarey wastey jevan ko yoon
Be-noor mat karna
Humain tum yaad mat karna
Agar hum chor k tum ko
Manoo mati main so jain
Tumaari aankh bojhal ho
Aur hum nendoo main kho jain
Humarey khwaab ko ankhoon main
Phir aabad mat karna
Suno! tum yaad mat karna
Humarey wastey jevan ko yoon
Barbaad mat karna


On Fri, Sep 9, 2011 at 1:09 AM, Mujtaba Siddiqui <bc110201131@vu.edu.pk> wrote:
Jo hum mehsus kartay hain..
Agar tum tak pohonch jae...
To bus itna samajh lena..
Ye un jazbon ki khushbu hai..
Jinhain hum keh nahi saktay..

Magar tum jo ijazat do...
To chand lafzoon main keh daloon!
K tum bin MAR TO SAKTAY HAIN..
TUM BIN JEE NAHI SAKTAY...


On Fri, Sep 9, 2011 at 1:08 AM, Mujtaba Siddiqui <bc110201131@vu.edu.pk> wrote:
Thak Gaya hon main Tujhe Yad Karty Karte

Ab main Tujhe Yad Ana Chahta hoon..


On Fri, Sep 9, 2011 at 1:05 AM, Mujtaba Siddiqui <bc110201131@vu.edu.pk> wrote:
Woh roya to buht magar mujhse munh morr ke roya,
Koi majboori hogi jo Dil torr ke roya,

Mere saamne kar diye mere tasvar ke tukre tukre,
Pata laga mere peeche woh unko jorr ke roya,

Jo muskuraya tha meri maot ki khabar sun kar,
Laash dekh kar meri woh apni jaan torr ke roya,

Huwa jab usay ehsaas apni sangeen ghalti ka,
Suna he qabar pe meri woh haath jorr ke roya.


No comments:

Post a Comment