Bana Gulab to Kante Chubha Gaya ik Shakhs
(Obaidullah Aleem)
Bana gulab to kante chubha gaya ik shakhs
Hua chirag to ghar hi jala gaya ik shakhs
Tamam rang mere aur sare khwab mere
Fasana kah k fasana bana gaya ik shakhs
Main kis hawa main urun kis faza main lahraun
Dukhon k jal har-su bicha gaya ik shakhs
Palat sakun main na age barh sakun jis par
Mujhe ye kaun se raste laga gaya ik shakhs
Muhabbaten bhi ajib us ki nafraten bhi kamal
Meri tarah ka hi mujh main sama gaya ik shakhs
Wo mahtab tha marham-ba-dast aya tha
magar kuch aur siwa dil dukha gaya ik shakhs
Khula ye raz k aina-khana hai duniya
Aur is main mujh ko tamasha bana gaya ik shakhs
.
On Sat, Sep 17, 2011 at 12:28 PM, bc110200528 Shugufta Nargis <bc110200528@vu.edu.pk> wrote:
Siyaah Raat Mein Jalty Hain Jugnoon Ki Tarha,,,,
Dilon K Zakhm Bhi MOHSIN Kamal Hoty Hain…!
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment