Kya kahon wo kidher nahi rehta
haan magar is nagar nahi rehta
tu ho, tera khayal ho ya khuwaab
koi bhi raat bhar nahi rehta
jab sukon hi na de sake to phir
gher kisi taur gher nahi rehta
jis ghari chaho tum chale aao
main koi chaand per nahi rehta
lab khulen to zuban nahi rehti
sar uthayen to sar nahi rehta
yun to apni bhi justuju hai mujhe
tujhse bhi bekhabar nahi rehta
dil figaaron k shehar mein Taabish
aik bhi bakhya-gar nahi rehta
On Sun, Sep 4, 2011 at 1:15 AM, Shahzad Sadiq <lushahz@gmail.com> wrote:
tay hor ki...........waisay aaj kal isi tarah kay badshah hi hain................:(
On Sat, Sep 3, 2011 at 12:13 PM, Shazia <shazia277@gmail.com> wrote:
uss badshah ki khoopri ki football bnanay ko me ka bhi dil ker raha hay.......
On Sat, Sep 3, 2011 at 6:30 AM, Mudassar Malik <mmalik.vu@gmail.com> wrote:
Subscribe to: Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment