Mominoun! Jab jummey ki aazan de ja’ey tou KHUDA ki yaad (yani namaz) ke liyey jaldi karo aur khareed o farokht tarq kar dou-agar samjho ye tumharey haq mein behtar hai;
Phir jab namaz ho chukey tou apni apni rah lo aur KHUDA ka fazal talash karo aur KHUDA ko bahaut bahaut yaad kartey raho ta ke nijat pa’o;
Aur jab ye log sauda bikta ya tamasha hota daikhtey hein tou udhar bhag jatey hein aur tumhein kharey ka kharra chore jatein hein-keh dou ke jo cheez KHUDA ke han hei wo tamashey aur soudey se kahin behtar hai aur KHUDA sub se behtar rizq dainey wala hai.
(surha Al-Jumma 62:9-11)
Talib e dua
IMRAN GUL
No comments:
Post a Comment